Sunshine
10th January 2007, 12:34 PM
Many of you must have read the english version but this one is the original.....
Ek laRhkaa bahut hii gariib thaa Soorat shakal se badnasiib thaa
Logon kii jooThii roTiaan aur sachchii gaaliyaan khaataa thaa
Paise naa de paa sakne kii vajah se school nahin jaa paataa thaa
Ek din usne Bhagwaan ke naam ek patra likhaa, jiss mein likhaa thaa,
"Param Poojniiya Vishnu Bhagwan, Charan Vandan,
Jab se dhartii par aayaa hoon kar rahaa hoon krandan
Kripyaa ek mahine ke liye merii gariibii miTaa do
Ek sau rupaye money order dwaaraa bhijwaa do"
Yeh patra jab chhatnii ke liye baRhe Daakghar mein aayaa
Toh Daak karamchaariyon ke netra karunaa se bhar bhar aaye
Aur unhon nein chandaa ikaThaa kar laRhke ko saaTh rupaye bhijwaaye
Agle saptaah laRhke kaa ek aur patra praapt hua, uss mein likhaa thaa,
"Param Poojniiya Vishnu Bhagwan, Aap toh ho Kripaa Nidhaan,
Par yeh Post Office waale hain saale bahut hii beimaan
Aapne toh sau hii bhijwaaye honge, chaaliis yeh khaa gaye
Bhagwan, kripyaa aage se Bank draft hii bhejnaa."