PDA

View Full Version : shaadi....whew!!!!!


Pintoo
8th August 2006, 05:20 PM
abhi shaadi ka pehla hi saal tha,
khushi ke maare mera bura haal tha,
khushiyaan kuch yoon umad rahin thi,
ki sambhale nahi sambhal rahi thi,

subah subah madam ka chai le kar aana
thoda sharmate hue hume need se jagana,
wo pyaar bhara hath humare ballon main phirana,
muskurate hue kehna ki darling chai to pi lo,
jaldi se ready ho jao, aap ko office bhi hai jana.

gharwali bhagwan ka roop le kar aayi thi,
dil or dimag par poori tarah chai thi,
saans bhi lete thy to naam usi ka hota tha,
ik pal bhi door jeena dushwar hota tha.

5 saal baad........

subah subah madam ka chai le kar aana,
table par rakh kar jor se chilana,
aaj office jao to munna ko
school ****te hue jana..............

ek baar phir wohi awaaj ayi,
kya baat hai abhi tak ****i nahi charpai,
agar munna late ho gaya to dekh lena,
munna ki teachers ko phir khud hi sambhaal lena.

na jane gharwali kaisa roop le kar aayi thi,
dil aur dimaag par kali ghata chai thi,
sans bhi lete hai to unhi ka khayal hota hai,
har samay zehen main ek hi sawal hota hai,
kya kabhi wo din laut ke ayenge,
hum ek bar phir kuwaaren ban payenge...

Mastikhor
8th August 2006, 05:28 PM
:lol: :lol:

Wah pintoo ustad ... chaa gaye :thumbup:

Bahut se shaadi shuda logon ke dil ki baat keh di :o

JUNGLEE RAJA
8th August 2006, 05:54 PM
:lol: :lol: :thumbup:

Jupiter
8th August 2006, 06:02 PM
Rukmani Rukmani...... Shaadi ke baad kya kya hua........

waah Pintoo chha gaye tusi....... +ve for this