JUNGLEE RAJA
7th February 2006, 05:55 PM
mehfil mein thirakne ko machalta saaz kaafi hai....
dil mein gehri utarne ko teri aawaaz kaafi hai....
naheen sankoch kar saaqi chhin le jaam madira ka....
mujhe madhosh karne ko tera andaaz kaafi hai!!!!
-----------------------------------------------------
saaqi teri mehfil mein ek mehmaan abhi baki hai....,
teri may ka, tere roop ka kadardaan abhi baki hai....;
is tarah kaise uTh jaaoo'n, kahani adhoori chhoD kar aise...,
tune rukh se naqaab uThaaya hai mera imtehaan abhi baki hai..!!!