PDA

View Full Version : Thahro zara si der, mein khud ko samhaal loon


captain
13th May 2006, 08:13 PM
Thahro zara si der, mein khud ko samhaal loon;
Palakon pe jhijhakte hue , aansoo samhaal luun.

Armaan jo arse se, is dil mein sajaaye the,
Dil tootne se pahle, wo armaan samhaal luun.

Aaye ki phir na aaye ab, ye pyaar ki bahaar,
In chand yaadon ko, gham-e-dil mein samhaal luun.

Num ho rahi hai aankh, dhundhlaate hain nazaare,
In doobtii aankhon se, nazaare samhaal luun.

Main thak gayaa huun aaj, manzil ka nahin pataa,
Dam bhar ko ruk k paaon ke, kaante samhaal luun.

Lo tuut gayaa aaj bharam pyaar ka Fahad..
Jo zakhm pyaar ne diye, un ko samhaal luun.