PDA

View Full Version : Kya dhoondta hun


Eshtyle Raja
11th May 2006, 09:34 PM
~~ ~~
Main aj Fiza main apni pehcha-n dhoondta houn,
Kavi jo meri apni thii, wahi moka-n dhoondta houn.
Is duniya ki bhir main, kho gaya houn is Tarah,
Matlabi sehar main wazood dhoondta houn
Paya kya hain, khoya kya hain, ye na pooch “Sudeep”
Bass aansoo bahane ko ek Kandha dhoodta houn..
Kisi se ummid nahin ke haath thame mera
Fir bhi pyar ki talash main, sara aasmaa-n dhoondta houn..
Raah main ek Fakir ko dekh ehsaas huaa rahe-gham ka
Par jab dekha apne aap ko,
khoye huye gham ka raasta dhoondta houn
Dard milne se Ehsaas hota hain khushi kitni hasiin hoti hain
Yahi soch ke main dard-e-Ashiyaan dhoondta houn,
Thak gaya houn chalte chalte
Sookh gaye ask behte behte
Phir bhi aankho main Ask-e-Shilab dhoondta houn
Ek Ehsaan kar de mujhpe “Sudeep”
Ye bata de ke main kya dhoondta houn
Kyun dhoondta houn..!


~~~~~~~~

JUNGLEE RAJA
12th May 2006, 11:14 AM
Wah bhai Wah... bahut badhiya hai

Eshtyle Raja
12th May 2006, 01:54 PM
Shukriya bhai :)