PDA

View Full Version : Chalo Baal kataye


Narad Muni
30th March 2006, 12:41 PM
Ek Aadmi aur uske saath ek bachha, Naiee (Barber) ki dukan me ghusse. Pahle Aadmi ne apne baal katwae, Shave karvaya, shampoo... aur sab kuch. Usne apne baad bacche ka baal katwaane ke liye baithaya aur bachhe se kaha,"Dekho, main abhi side ki dukan mein jaa kar aata hun. Baal kat jaayne to tum yahnee bethe rehna!"
Jab bachhe ke baal kat chuke thee aur wo Aadmi abhi tak wapas nahi aaya tha, to Naiee hanste hue bachhe se bola,"Beta, lagta hai tumhare pitaji tumhare baare mein bhool gaye!"
"Kisske Pitaji?" Bachha bola,"Wo to mere paas aakar, haath pakad ker bola,"Chalo beta, aaj hum dono free mein baal katwaa ke aate hain!"
:lol: :lol: :lol: :lol:

Jupiter
30th March 2006, 12:51 PM
badhiya joke Narad
:toast:

Eshtyle Raja
30th March 2006, 07:13 PM
:lol: :lol: zingdagi mai dusri baar tunay sahi post ki......

JUNGLEE RAJA
31st March 2006, 12:25 PM
Pehli Baar kab kiya ttha??:confused:

Waise Joke badhiya hai narad :laugh:

LASHKAR-E-THARKI
31st March 2006, 12:28 PM
Ek Aadmi aur uske saath ek bachha, Naiee (Barber) ki dukan me ghusse. Pahle Aadmi ne apne baal katwae, Shave karvaya, shampoo... aur sab kuch. Usne apne baad bacche ka baal katwaane ke liye baithaya aur bachhe se kaha,"Dekho, main abhi side ki dukan mein jaa kar aata hun. Baal kat jaayne to tum yahnee bethe rehna!"
Jab bachhe ke baal kat chuke thee aur wo Aadmi abhi tak wapas nahi aaya tha, to Naiee hanste hue bachhe se bola,"Beta, lagta hai tumhare pitaji tumhare baare mein bhool gaye!"
"Kisske Pitaji?" Bachha bola,"Wo to mere paas aakar, haath pakad ker bola,"Chalo beta, aaj hum dono free mein baal katwaa ke aate hain!"



NICE one NUNNI bhai:hi_5: +ve awashya mile ga lekin break ke baad