PDA

View Full Version : Humne Gulshan mein aesa Gulab naa dekha


leleram
24th March 2006, 01:55 PM
Humne Gulshan mein aesa Gulab naa dekha
Kahi uske jaisa Aalam-e-shabaab naa dekha


Roshan hai ye jaha uske rang roop k ujalo se
maine kabhi zamee par mahtaab naa dekha


Zulafe hai uski ya hai sawan ki kaali ghataye
Bin barish k aesa Qaus-e-qazah naa dekha


Navard-e-ishq mein kya hua kya bataye hum
kabhi humne yu khud ko harata naa dekha


Paya hai pyaar uska aur sab kuch khoya hai
Fir bhi maine mujh jaisa Zaradaar naa dekha


Humne Gulshan mein aesa Gulab naa dekha
Kahi humne aesa Aalam-e-shabaab naa dekha






Aalam-e-shabaab- Youth

Qaus-e-qazah- Rainbow

Navard-e-ishq- battle of love