PDA

View Full Version : Shaayad Aa Jaayega Saaqi Ko Taras Ab Ke Baras


Jupiter
17th March 2006, 02:09 PM
From the album Magic Moments
Sung by Jagjit Singh
Shayar - Rai Rampuri

Shaayad Aa Jaayega Saaqi Ko Taras Ab Ke Baras,
Mil Na Paaya Hai Un Aankhon Ka Bhi Ras Ab Ke Baras

Aisi Chaayi Thi Kahan Gham Ki Ghatayen Pehle,
Haan Mere Deeda-e-Tar Khoob Baras Ab Ke Baras

Uff Wo Unmad Bhari Aankhon Ke Chlakte Hue Jaam,
Badh Gai Aur Bhi Piine Ki Hawas Ab Ke Baras

Pehle Ye Kab Tha Ki Wo Mere Hain Main Unka Hoon,
Unki Yaadon Ne Sataya Hai To'h Bas Ab Ke Baras