PDA

View Full Version : Jab meri haqeekat ja ja kar


chichora
12th March 2006, 04:22 PM
Jab meri haqeekat ja ja kar, unko jo sunayee logon nay,
Kuch sach bhi kaha kuch jooth kaha, kuch baat banayee logon nay !

Dhayain hain hamesha zulm-o-sitam, duniya nay mohabaat waalon par,
Do dil ko kabhi milnay na diya, deewaar uthayee logon nay !

Aankhon say na aansoo poch sakey, hothon pay khushi dekhi na gayee,
Aabaad jo dekha ghar mera, to aag lagayee logon nay !

Tanhayee ka saathi mil na saka, rusvai mein shaamil shaher hua,
Pehlay to mera dil tod diya, phir Eid manayee logon nay !

Is daur mein jeena mushkil hai, ae `Ashq' koi aasaan nahin,
Har ik kadam par marnay ki, ab rasam chalayee logon nay !

JUNGLEE RAJA
13th March 2006, 10:20 AM
Very Nice Chichora bhai... aapko +ve de diya

chichora
13th March 2006, 12:54 PM
shukriya Junglee bhai.......:)