PDA

View Full Version : mai ho mina ho hath me paimana ho


leleram
11th March 2006, 02:06 PM
mai ho mina ho hath me paimana ho
mere saki tu ho aabaad maikhana ho

hashr ho gayi ab utHa naqaab saki
didaar ko beqraar kitna deewana ho

raat ja baithte rooj majanu ke pass
iss se badhke ab kya koi yaarana ho

masjid ki taraf na jaana kabhi saki
zahid bhi kahin na tera deewana ho

mat kar hisab zaam pe zaam diye ja
tere pass rehane ka koi bahana ho

zindagi ka luft hum bhi uthaye agar
shishe ki pari ho ghar parikhana ho