Admin
10th March 2006, 12:28 PM
Ajnabi si rahon main
Dor tak ki nigahon main
Tergi ka mousam hai
Berukhi ka mousam hai
Aaj phir nigahon ko
Beetay kal ki payaas hai
Aisa lagta hai.....jaisy
Chaand phir udaas hai
Rang pheekay pheekay hain
Taary roothay roothay hain
Badalon ka shor hai
Khazan khazan yeh dor hai
Isqadar akelay hain main
Payar ki talash hai
Aisa lagta hai.....jaisy
Chaand phir udaas hai
Ajab hain dil wehshatain
Aur aas pass ahatain
Jis ko dhondna chaho
Us ko dhoond kab pao
Phir raha hoon darbadar
Mojzay ki aas hai
Aisa lagta hai.....jaisy
Chaand phir udaas hai
Baat tu kare koi
Saath tu chalay koi
Khamoshi k pehray hain
Zakham dil k gehray hain
Aaj woh milay mujh ko
Dard jis ko raas hai
Aisa lagta hai.....jaisy
Chaand phir udaas hai
Dor tak ki nigahon main
Tergi ka mousam hai
Berukhi ka mousam hai
Aaj phir nigahon ko
Beetay kal ki payaas hai
Aisa lagta hai.....jaisy
Chaand phir udaas hai
Rang pheekay pheekay hain
Taary roothay roothay hain
Badalon ka shor hai
Khazan khazan yeh dor hai
Isqadar akelay hain main
Payar ki talash hai
Aisa lagta hai.....jaisy
Chaand phir udaas hai
Ajab hain dil wehshatain
Aur aas pass ahatain
Jis ko dhondna chaho
Us ko dhoond kab pao
Phir raha hoon darbadar
Mojzay ki aas hai
Aisa lagta hai.....jaisy
Chaand phir udaas hai
Baat tu kare koi
Saath tu chalay koi
Khamoshi k pehray hain
Zakham dil k gehray hain
Aaj woh milay mujh ko
Dard jis ko raas hai
Aisa lagta hai.....jaisy
Chaand phir udaas hai