PDA

View Full Version : khidmat-e-huzoor mein pesh


leleram
31st January 2006, 09:40 PM
1. humne unki yaad main ro ro kar tub bhar diye
woh bay sharam aaey aur naha kar chal diye

2. ladki boli:
chandni chand say hoti hai sitaroan say nahi
mohabbat aik say hoti hay hazaroan say nahi
ladka bola:
chandni chand say hogi to sitaroan ka kiya hoga
mohabbat aik say hogi to hazaroan ka kiya hoga


3.bewafa sanam say to cigratte acchi hai
dil jalati hai par hontoan say to lagti hai

4. ji chahta hai teray nazuk hontoan ko choom luun
lekin teri behti naak nay iraada badal diya


5. ladka bola:
kaash in haseenaoan kay baap marr jatey
bahana gham ka hota hum unkey ghar to atey
ladki boli:
baywaqoof yeh bolna bhi paap hoga
kisi din tu bhi haseena ka baap hoga

6. payda hua vakeel to shaitaan nay kaha
lo aaj main bhi sahib-e-aulad ho gaya

Jupiter
1st February 2006, 03:49 PM
3.bewafa sanam say to cigratte acchi hai
dil jalati hai par hontoan say to lagti hai



ha ha this is the bast

I am missing the :rofl: smiley here..........