captain
8th March 2006, 06:33 PM
Agar ho sakay tou
idher ko bhi dekho
yeh anso tumharay main palkoon se chun lon !
tumhara yeh ghum apni ankhon main bhar lon !
yeh dard-o-alam apni jaa'n main sameto'n
tumhari yeh wehshat main naam apne ker loon !
Magar tumne dekha nahi meri jaanib
tumhari in ankhon k dast-e-gulaabi
hamesha berhay
ajnabiyoon ki janib
jo ankhon k moti ko kab jaantay thay
jo dat-e-gulabi ko sirf choomnay ki hadd tak hi
pehchanantay thay
Agar tum mere saamne bhi jo dekho
agar-chay main yeh jaanta hon
agar-chay main yeh maanta hon
main kam -maaya kum tar bohat hon
zamanay ki nazroon main abtar bohat hon
Magar aik taqat mere dil k ander
misaal-e-sahar hai
woh noor-e-dahar hai
yaqee'n ki woh dolat mohabbat ki taqat
agar ho sakay tou
idher ko bhi dekho
Kasan hai tumhari
tumharay dukhoo'n ko
main chehray per apnay saja loon ga janaa'n
Agar ho sakay tou.........