PDA

View Full Version : Tu mere naam se badnaam ho na jaaye...

leleram
2nd March 2006, 04:06 PM
Charcha-e-Mohabbat sare aam ho na jaaye
Tu mere naam se badnaam ho na jaaye.

Bura waqt phir zindagi main aaya hai
Apne aur gair ki pehchan ho na jaaye

Ajnabee bankar tu iss kadar mili mujhse
Gum aaj mujh par meharbaan ho na jaaye

Mehfil se utha mujhko magar ye dekh lena
Mere baad teri mehfil veeran ho na jaaye

Itna pyar na barsa mujh par mere kaatil
Meri jaan lene wala meri jaan ho na jaaye

Tujhe manane ki khatir khud ko mita raha hun
Meri yeh aakhiri koshish bhi nakaam ho na jaaye

Uski masoom aankhein mujhko bula rahin hain
Aadmi aaj jaanwar se insaan ho na jaaye
Tu mere naam se badnaam ho na jaaye!!!!!!

shades
2nd March 2006, 11:37 PM

tujhe darr hai mere badnaam hone ka
aur mujhe darr hai tere pyar mein naakaam hone ka

janab lele sahab dillagi karo
kisis ko dil mat do

leleram
12th April 2008, 06:42 PM
tujhe darr hai mere badnaam hone ka
aur mujhe darr hai tere pyar mein naakaam hone ka

janab lele sahab dillagi karo
kisis ko dil mat do

ah, good old shayri days....:)

main shayar to nahi....magar ae haseen..jab se tujhko maine dekha, mujhko shayriiiiiiiii aa gayi:whistling:

Kevinpan
13th April 2008, 10:56 AM
wah wah wah wah....