PDA

View Full Version : Khyaal Se Kalam Tak


leleram
1st March 2006, 06:58 PM
Yeh geet bus khabar bhar hain
Maray zahan mein uthtay gubaaroN ki
Khwaab main jinpay apnay sajaataa huN
Alfaaz mehaz wo keelayN hai diwaaroN ki

Ik koshish hai haasil ko byaan karnay ki
Ik diwaangi khlaa ko bharnay ki
Shaayri sirf shauq nahiN ab zaroorat hai bani

Khyaal say kalam tak kay safar meiN
Muqammal ka koi da_awa to nahiN
Yay afqaar mairay haiN magar
Mairay dil ka ainaa to nahiN

Magar kich to hai jis say hoN ayaaN
Meri duniya kay khwaab
Meri tanhai meray ahad meray ahsaas
Aur yahi bahut hai mujhko fan-e-sukhn ka haasil
Aur isliyay hi bus main likhta rahuNga

GodFather
1st March 2006, 09:12 PM
Khyaal say kalam tak kay safar meiN
Muqammal ka koi da_awa to nahiN
Yay afqaar mairay haiN magar
Mairay dil ka ainaa to nahiN

simply Great...

Narad Muni
1st March 2006, 09:21 PM
Oye lele ki maal hai rey.
:4: